Pen paper and heart 🖋📜❤

Krishna Seekh Chapter 6 ~ Written By Pooja Mishra Vocals By Chiranjivee Rathore

January 01, 2021 Pen paper and heart Season 4 Episode 6
Pen paper and heart 🖋📜❤
Krishna Seekh Chapter 6 ~ Written By Pooja Mishra Vocals By Chiranjivee Rathore
Show Notes

Aaj ka krishna seekh ka bhaag ek aitihaasik din ka varnan hai..wo din jab Mahabharat ka yuddh aarambh hua tha…

Ek taraf Pandav, or sunki sena or Krishna khade the…dusri ore Kaurav or unki sena…Tay hua tha ki Suryoday k samay Shankhnaad ki awaaz se Yuddh ka aarambh kia jaega…sabhi log Shankh naad krne hi wale the…Ki Krishna ne dekha ki Arjun ka mann bht vichlit hai… Unke hath me itni bhi shakti nhi hai ki wo dhanush utha sake…Unhone arjun se pucha…”Hey Paarth kya hua…tmhara mann itna vichlit kyu hai”. Arjun ne jawab dia Madhav, samne Pitamah khade hain jinhone bachpan se lekr aajtk mera sanrakshan kia…Guru  dron khade hain..jinhone mujhe saari siksha di. Mamaji khade hain jinke samne shashtra uthana nhi hai sar jhukana hai..mere bhai khade hain..Mai inke sath kaise yuddhh karu..

Is par Krishna ji ne bola..Tmhe aaj ye sab priy lag rae hain toh yaad karo wo din Jab inhi mamaji ne chhal se tmhara rajya le lia tha…Dekho Dushashan ko jo Draupadi ko baalo se khich k rajbsabha me le aya tha ..dekho is duryodhan ko…jisse tm apna bhai keh rae ho..isine draupadi ko nirvastra karne kaa aadesh dia tha..dekho guru dron or pitamah ki taraf…jo bas sar jhukae khade rae..or kisine bhi kaurvo k anyaay ka virodh nhi kia.

Ye sab sunke or Us din k bare me yaad krke jab bhari sabha k samne duryodhan or baki sabne milke Arjun,unke bhai or Draupadi ka apmaan kia tha, Arjun ko bht gussa aya. Or wo bole… “ Madhav , mai yuddh k liye taiyyar hu…mai in sabko maar k apne bhaiyo or patni ko nyaay dilauga.”

Ye sunke Krishna ji muskurae, or bole…Paarth ek baar fir samne dekho…ye wahi pitamah hain,,,jo tmhe tmhara rajya wapas dilane k liye Khud ka jeevan kurbaan krne ko taiyyar the, Zra dekho Guru Dron ki taraf… jinhone tmhe vishv ka Sreshtha Dhanurdhar bnane k liye eklavya ka angutha guru-dakshina me maang lia or jeevan bhr ka paap apne sar le lia…Kya inka vadh krna uchit hoga…sab sunkar Arjun fir soch me pad gae

Krishna ne kaha  “chalo Paarth ek baar apne paksh ki taraf bhi dekho…dekho kya galti sirf kaurvo ki thi…Agr tmhare bhai yudhishthir apne bhaiyo or Draupadi ko daav pe nhi lgaate toh shayad aaj ka din dekhna hi na pdta…kya unka ye sab krna uchit tha…Ab tum btao Paarth tmhe kiske paksh me dhrarma dikhai deta hai..or kiske paksh me adharma.”

Is par Arjun bole “ Madhav mujhe toh dono hi paksho me dharma bhi dikhta hai..or Adharma bhi…Ab aap hi btae ki mai kya karu..Aap hi mujhe gyaan de…”

Tab Krishna ji ne unhe samjhaya ki Jeevan me sahi or galat k bich ka chunaav bht asaan hota hai..par kabhi kabhi aise mod aate hain jaha hme galat or kam galat k bich ka chunaav krna hota hai..or ye chunaav kbhi bhi asaan nhi hoga, par hme aaj ki hi nhi aane wale kal ka bhi sochke ye chunaav krna hai.. ye mat socho Paarth ki iss yuddh me kiska rakt bahega or kon bachega , ye socho ki Iss yuddh k baad Dharma ki sthaapna hogi…

Isliye ye nirbalta chhodo …shastra uthao or yuddha karo..

Sach hi smjhaya Krishna ji ne Arjun ko ki life me black n white ko alag krna easy hai..but jaha chize shady or grey dikhti hain hme kuch smjh nhi ata..but wahi ek time hota hai jaha Wisdom ka use krna hota hai. Kyuki dono hi sides galat lgti hain

Or us samay, We have to choose the choice which feels the least wrong. Toh life me jab bhi koi aisa mod aae jaha chize black or white nhi but grey dikhe, toh bs ek baat yaad rakhiyega..

It is easy to choose between a right and a wrong. But to choose less wrong between two wrongs and better between two rights, makes all the difference